Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name samajh me nahi aaya  
Question assalamo alaikum meri sawal ye hai k maine ek ladki ke sath shohbat ki aur fir uske sath nikah kar liya to kya nikah ho gai aur iska hu humdono ne tauba v kar liya hai to kya allah is tauba ko qubool-e- bargah karega ya kuch aur karna hoga jisse humdono k gunaho ko allah maaf kar de aisa koi tareeqa bataye main jindagi var aapka shukerguzaar rahunga allah hafiz 
Answer 1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref : Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen, Part # 1, Maslah # 30) 2)Jis shakhs nai kisi aisi aurat sai zina kia ho jo kuwari ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karay. Laikin agar aisi aurat sai zina kia ho jo sohar dar thi to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani(zina krnay walay par) par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2367) 3)Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. (Ref : website Ayatullah sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.