Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Assalam Alaikum,mera masla yeh hai,ke Hamri shadi ko 5 saal hue.Aulad nhi hai.mai&meri biwi kuwait me hai.meri biwi job pr lagne ke bad us ke mijaz badal gye,ab wo mujh se khula mang rhi hai.mera khna hai tu india chal.tere ghar wale ke samne Talaq doga.wo khti hai kisi ki zaroorat nhi.&mai india nhi jaongi.6 mahine se sath rehte hue bhi baat nhi krti.khna alag bister alag kri hai.bina walidein ke bina qazi ke samne wokhula chahiti hai.kya mai usko 3 talaq de kar farig kar sakta ho.WASSALAM ALAIKUM>Jawab ka muntazir ho, 
Answer Talaq apk irade or ikhtiyar per moqoof hai, lehaza agr ap chahen to apni biwi ko talaq de sakte hen, albatta is tarah 3 mrtaba talak kehne se talaq nahi hogi balke talaq ki sari sharton ko lihaz kiya jayega.1) Mard Aaqil Baligh ho, 2) Talaq ka irada rakhta ho, 3) Talaq ka seegah parha jaye, 4) Do aadil gawah k mojud hon jo talaq k seeghe sunen, 4) Talaq k wqt orat Haiz or nifaas se paak ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 473-74-75-85-98-504, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.