Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Assalam O Alaikum, 1)Mere umer es waqt 30 years hai aur main abhe tak kisi ki taqleed nahin ker saka. Kia mere koi namaaz jaiz the ya nahin jo main ne ab tak adda ki hain? 2) Mere taqleed na kerny ki wajah 1 mujhe bachpan se es ka ilm nahin tha ... ab mujhy es ka ilm howa hai to main aisa mujtahid talash ker rah hoon keh mujhy jo bhe masla dar-paish ho main us Mujtahid se us maslay k baary main pooch sakoon. 3) Agar main ghaib main Ayatullah Khamnei ya kisi aur ki taqleed kerta hoon to us ka kia tariqa (way) hai??? 
Answer w.s. 1) agr koi mukallaf ek muddat tak kisi ki taqlid kiye bagair aamal baja lata rahe to agar us ke aamal hukame waqei ke mutabiq ho ya us mujtahed ke fatwe ke mutabiq ho jis ki taqlid karna abhi us ki zimmedari he to wo amal sahih taswwur kiye jayenagain us ke alawa bhi agar wo jahil kasir ho or aamal ka naqs arkan wagera ke etebar se na ho to bhi us ke aamal sahih taswwur kiye jayeingain yahi hukm us soorat main bhi hain jab jahil mukassir ho or amal main koi aysa naqs ho jo la-elmi ki soorat main maaf ho to jayse buland awaz se qaraat ki jageh ahista ahista awaz se qraat ya bar akas, to bhi us ke aamal sahih mane jayeingain yahi hukam us soorat main bhi hain jab use yah maloom na ho ke pichhale aamal kefayat ke etebar se sahih the ya nahi to bhi us ke aamal minhaj main zikr shuda baaz mawarid ke alawa sahih taswwur kiye jayaingain (masala no.12, tawzihul masail Aqai sistani (d.b.) urdu). (2) jis mujtahid ki taqlid ki jaye woh mard, balig, aqil, shia isna asheri, halal zada, zinda or adil ho. agar yeh bat ejmalan maloom ho ke darpesh maail main mujtahedin ke fatwe ek dusre se mukhtalif hain to zaroori he ke us mujtahid ki taqlid ki jaye jo aalam ho yaani apane zamane ke digar mujtahedin ki nisbat ahkame elahi ko samajane ki bahetar salahiyat rakhta ho (masala no.2, tawzihul masail Aqai sistani (d.b.) urdu). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.