Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question kiya agar koi sab amal sahi karta ho namaz roza or sab lakin taqleed nahi karta to kiya os kay amal kable kabol hay 
Answer b.t. jahan tak dini ahkam ka taalluk he, "musllma or qatai umoor" ko chod kar baqi ahkam main zaroori he ke insan ya to khud mujthid ho yaani ahkam ko dalil ke zariye hasal kar sake ya kisi mujtahed ki taqleed kare ya az rahe ahteyat apna fariza yoo ada kare ke use yaqeen ho jaye ke us ne apani sharee zimmedari puri kar di he maslan agar chand mujtahid kisi amal ko haram qarar dain or chand dusre kahain ke haram nahi he to us amal se baz rahe or agar baz mujtahedin kisi amal ko wajib or baaz musthab gardanain to us amal ko baja lae lehaza jo ashkas na to mujthid hon or na hi ahteyat par amal pera ho sakain un ke liye wajid he ke mujthid ki taqleed karain. (masala no. 1, tawzihul masail. ayatullah sistani (d.b.) urdu) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.