Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question assamalaikum mera sawal hat kar hai laikin aaj ke zamanay ke hisaab se hai ke meray husband ko bivi ki hajat bohot kam hoti hai jaisay das ya pandra din mien aik baar. to kya hamaray liay is sabr ka koi ajar hai jab kay mien 25 hoon abhi ya koi tareeqa ya wazeefah hai husband ko paas laanay ka 
Answer shohar apni jawan biwi se char mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahi kar sakta (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2377) jab zawja char mahine tak sabr na kar sakti ho is tarh se ke shohar ko khof ho ke agr us ne ham bistari na ki to zawja haram me pad jayegi is soorat me ahteyate wajib ki bina par shohar ko char mahine se pahle ham bistari karne me jaldi karni hogi (minhajus salehin Aytullah Seestani jild-3, page104 masaala no. 341) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.