Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salam, Dear Sir, I hv a confusion in zakat and khums issues. If possible advs me the specific books which can easily explain me the both. Pls advs as follows. Zakat: - Tell me process and what are the sources of income on which we hv to pay zakat. KHUMS. Tell me process and what are the sources of income on which we hv to pay zakat. Need to know the details about khum. Also advs shall I use khums money on my sister to support her family. Pls advs. Awaiting your immediate responses. Thanks & Rgds hassan  
Answer w.s. Zakat mundarja zail cheezoon kay ilawa kisi aur cheez par zakat wajib nahi hoti.1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay.7:Oont.8:Gaey.9:Bhair bakri.10:Maal-e-Tijarat par Aihtiyat ki bina par..Rupees in cheezoon main say nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-29. (2) Jab Insaan Tijarat, Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day. Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay, warna us par khums nikalna hoga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222. (3) zaroori hay kay khums 2 hisson main taqseem kiya jaey, is ka 1 hissa Sadaat ka Haq hay aur zaroori hay kay kisi faqeer syed ya yateem ya aisay syed ko diya jaey jo safar main naChaar ho gaya ho.lihaza aap jin hazraat ki madad ki khatir khums ki raqam day rahay hain agar wo sadaat hain aur faqeer yateem ya safar main naChaar hon to unko khums ka Adha hissa (yani Sehm e Sadaat) dena jaiz hay. jabkay khums ka dosra hissa Imam e Zamana AS ka hay kay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush sharait mujtahid ko (ya uske wakeel ko) diya jaey ya aisay kaamoo main kharch kiya jaey jis ki Mujtahid Ijazat day Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.272,Masala No.1804.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.