Answer |
bismehi taala, jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)shariyat ne kis masle me kiya hukam lagaya he yeh Quran aur farameene Masoomeeen alhemus salam k sab se bade janne wale mujatheede aalam hi bata sakata he, ham faqat ek ya do hadees ko padh kar yeh jane bagair k is ke alawa digar ahadees kaya kaheti hain, in hadees k rawi kon he, riwayat k alfaz kya hain, yeh sab kuchh jane bagair yeh nahi keh sakte k Imam alhis salam ka kaya hukam hain, gaybat k jamane me hamari zimmedari mujthide aalam k fatwe par amal karna he, chunke mujthide aalam Imam alhis salam ki tarf se ham par hujjat he. |