Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Sunni majority ka dawa hai ke Bibi Ayesha ki pakeezgi quran mein biyan ki gayi hai aur un ka Nikaah Nab-e-Pak sawaw ke sath arsh par hua tha , Soorah e noor ki tashreeh o tafseer konsi website se mil sakti hai?.  
Answer bismehi taala, sure noor me bibi ayesha ki jis pakeezgi ki bat ki gaee he woh us ilzam k silsile me thi k jo bibi ayesha par lagaya gaya tha, sure noor ke shane nuzul k silsile me jis waqee ko bayan kiya jata he is hawale se to shia aur sunni me koi ikhtelaf nahi he k woh ilzam jo bibi ayesha par lagaya gaya tha woh galat tha, aur khud quran ne bhi yeh wazeh kar diya he, magar kisi ko kisi ek burae se pak qarar dena us ki puri zindgi k achha hone par dalalat nahi karna, arsh par nikah ki bate aysa daawa he k jis ki koi daleel moatabar kitabo me nahi he, is me koi shak nahi k bibi aysesha zawj-e-rasool s.a.a.w. the maga nabi s.a.a.w. ki jawja ya rishtedar hona usi waqat mufeed ho sakat he jab muqammal tor par nabi s.a.a.w. ki farameen ki pervi ki jae warna Hazrat Nooh a.s. aur Hazarat Loot a.s. ki zawja ki misale hamare samne he. soorhe noor ki tafseer ke liye aap tafseere namuna ki tarf ruju kar sakte he k jo urdu me bhi availabel he. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.