Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question mera sawal ye ha k mery sath aik larka perhta ha jo mera best friend b hai wo bht acha ha 5 wqt namaz baaqaidgi se perhta ha mae r wo aik dosry ko pasand krty hain r shadi krna chahty hain usky ghr waly b razi hain bs wo apny paon pr khara hony ka intizar kr raha ha,wo kbi kbi mjy touch b krta ha wo khta ha k mae ne sachy dil se tmy apni shaik-e-hayat maan lia ha isliy ab mae tmy pyar kr skta hon k hm mian bivi hain to kia ye pyar krna r touch krna jaiz ha? 
Answer bismehi taala, Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392 (na-maheram ko chune ki to hargiz ijazat nahi he aur yeh bahot bade gunah ka kam he, jabani payar-mohabbat ki bato se kisi qisma ka rishta qaim nahi hota, shariyat k bayna karda hudud se bahir niklna dunya aur akherat ki barbadi ka sabab banta he) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.