Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khoie 
Question Meray husband nay quarn hath main paker ker qasam khai k who aj k bad chatting ya lerkiyon say koee Relation nahin rakhay ga.mujhy say kbahi jhot nahin bolay ga.koee bat nahin chpaye ga.ye sari qasam unsay quaran hath main paker ker khain.lakin bad main unsay sari qasmain tort din.usnay chup ker chatting ki.email ki.aur mujhysay sab chupaya.yani sari quran ki qasmain tor din.isay pehlay unsay Allah aur Rasool ki qasam bhi khaee k who asa nahin keray ga.lakin usany qasamian tor din.aap plz batin us per Khuda ka qaher to nahin pery ga.iska kafara kia hai.main both thankful hoongi.jawab juldi day dain plzzzzzzzz  
Answer Agr ap k shohar ne aysi qasam khai hai jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil ho to(jese apne frmaya k Allah ki qasam khai) is surat men is ki mukhalifat krne se insan gunahgar hojata hai, lehaza ap k shohar per wajib hai kaffara de, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak(libas) pehnaye(ata kre). Lekin quran egera uthakr qasam khana is qism ki qasmon ki koi sharae hesiat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.