Answer |
bismehi taala, agar shohardar aurat zina kare to ehtiyat ki bina par woh zani par hamesha ke liye haram ho jati he lekin shohar par haram nahin hoti aur agar tauba w istighfar na kare aur apne amal par baqi rahe (yaani zinakari tark na kare) to behtar yeh he k us ka shohar use talaq de de lekin shohar ko chahiye k us ka maher bhi de (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2412) |