Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salam Ya Ali Maddad Sir mere Sawal ye hai ky jab Namaz-e- juma mstahib aur takhayari hai to is ki niyat kaisy ho gi aur namz-e-juma ky baad hum 4 rakaat namaz-e-zuhar parhty hain to wo kiyon aur us ki niyat kaisy hogi please mujhy jawab den 
Answer Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.