Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salam, namaz main qayam se kya muraad hai (qayam ka mutlab kya hai)? Q2 Rukoo main jane se pehle qayam s kya murad hai? 
Answer w.s. 1) takbirtul ehram khene se pehle aur is ke baad thodi der ke liye khada hona wajib he ta-ke yaqeen ho jaye ke takbirtul ehram qayam ki halat me kahi gaee he. 2) rukoo me jane se pehle insan ko qayam ki halat me hona chahiye, agar koi shakhs rukoo karna bhool jaye aur al-hamd aur sure ke baad beth jaye aur phir use yad aaye k rukoo nahin kiya to zaroori he k khada ho jaye aur rukoo me jaye, lekin agar sidha khada huye baghair, jhuke hone ki halt me rukoo kare to chunke woh qeya mutassil b-rukoo baja nahin laya is liye us ka yeh rukoo kifayat nahin karta. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 968 & 969) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.