Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam o Alaikum.. Sir mere 2 sawal hain. 1)istinja ka sahi tariqa kya hai? 2)agr main peshab k bad istinja kr leta hoon, or phir kuch dair bad wuzu krna ho to kya mujhe istinja b dobara krna parre ga? Aap ki bht mehrabani ho gi.. Or plz mujhe email id par sawal k jawab k bare mai zarur btayiye ga.. Jazak ALLAH 
Answer 1)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se pak nahi hota aur osay aik martaba dhona kafi he. al’betta ehtiyat e mustahabb he k 2 martabah dohain aur behter ye he k 3 martabah dohain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62) 2)Agar maqad(maqam e pakhana) ko pani se dohaya jay to zarori he k pakhana ka koi zarrah bhi baqi na rahay al’betta agar rang ya boo baaqi reh jay to koi haraj nahi he. Aur agar pehli baar hi aisay dhul jay k pakhana k zarraat baqi na rahain tu doubara dhona lazim nahi he. 3)phatar, dhela kapra ya in hi jaisi doosri cheezain agar khusk aur pak hon to in sai maqad (maqam e phakana) ko pak kia ja sakta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62, 63, 64) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.