Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question sir jee jaise apne kaha ke sab se pehle sar aur gardan ko dhona chahiye ye humne wuzu karne se pehle karna hai ya baad main aur dosri bat ye ke sar dhote hue paani jism main bhi lag jata hai aur gardan ko kaise dhoye ge aur agar sar dhote hue shoulder per ya jism ke kise aur hisse main paani lag jaye tu usse kuch hota tu nahi thanx question thoda ziada lamba tha plz reply lazmi karna bye thakz  
Answer Ghusl main ehtiyaat e lazim ye hay k niyat k saath pehlay sar or garden ko mukamal taur per dhoya jaay,or os k baad pora jism ko dhoya jaay,or behtar ye hay jism ko do hisso main dhoya jaay pehlay jism ko daain taraf(right side) say or baad main jism ko baain taraf(left side) say jism ka koe bhi hissa khushk(dry) nah rehjaay.sar or garden ko dhotay waqt agar paani jism k kisi or hissay(maslan shoulder) per bhi lag raha ho tu koe maslah nahi. Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta mustahab hay k wuzu karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay k wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#360,389) . 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.