Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Shaadi ristye 
Question Assalamu alaikum mera naam ruknoddin hai ,meri bahan umar hai 32 unka rishta nahi ho raha , pahale risty bahot ate the magar koi jawab nahi dete magar ab koi rista nahi aaraha , hum bahot koshish kar rahe, hum bahot parashan hai ,hume ko hal bataiye. behan ka naam shabana ,maa ka naam fatima 
Answer 1)Hazrat Imam jaffar e sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kapray mai lepait kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pas jae to osi nakaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rehay gi. (Ref : Dunya aur aakhirat ki 100 perashanion ka hal pg # 18) 2) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.