Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Assalam O Allaikum, agar ek insan roze se ho aur wajib namaz ke liye wazu kare aur chehra dhote waqt usse shaq ho ke naak ke zarye halaq tak pani chala gaya hai aur wo ye na janta ho ke wajib namaz ke liye wazu karte waqt aisa hone se roza batil nahi hota aur wo ye check kar ne ke liye ke pani halaq tak jata hai ya nahin naak main dobara pani dale to 1) kya roza batil ho jata hai ya nahin ya qaza wajib hai ya qaza uar kafara dono wajib hai? 2) aur agar check karte waqt pani halaq se neeche uter jai tab bhi kya roza batil hai ya nahi ya sirf qaza wajib hai ya qaza aur kafara dono wajib hai? Plz reply soon main ne is se pehle bhi sawal kya tha magar mujhe ab tak is ka jawab nahi mila....... 
Answer Agar wuzu (mustahab ya wajib) kertay waqt insaan kulli karay ya naak main paani daalay or paani bay ikhtiyaar(yani merzi ki baghair) halaq k andar chla jaay tu roza sahi hay or is ki koe qaza nahi.ye yaqeen ki baat hay agar sirif shak hay k paani halaq main gaya hoga tu roza sahi hay or qaza wajib nahi.or isi terah agar koe shaks wuzu k alawah bhi naak main paani dalay or wo bay ikhtiyaar halaq k andar chala jay tu os per qaza wajib nahi hay.yaad rahay k ye tamaam hokum sirif os surat main hain jab insaan ko paani k halaq k andar jaanay ka yaqeen nahi ho,or paani halaq main merzi k bagair(bay ikhtiyaar) chala jay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1625,1659,1660). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.