Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khoie 
Question mara sawal hai k hamary ghar main aik budkar orat rehti hai mari nani ki khidmat k lia lakin dill sy wo orat saf nai hai.islmi tor py bi kafi ahadiss ko badal k sunati hai or khud ko mualama batati hai jo nakabile burdasht hai.kya hum unki galat bato py tameez or lihaz ko samny rakhty hoe chup rahty or unki fazool bato py dehan na dy ker acha kerty hain ya hamain gunaha hoga? 
Answer Aap amar bil maroof (naik kaam ka hokum dayna) or nahi anil munkar (burae say rookna) ki shrait or darajaat k mutabiq amal karain. Amar bil maroof ki 5 shaarit hain jin main say aik ye bhi hay k amar bil maroof or nahi anil mukar kernay wala maroof (achchay kaam) or munkar (buray kaam) ko jaanta ho k ye baat sahi hay ya ghalat. Or is k 3 darajaat hain Jin main 2 ye hain. pehla derjah ye hay k aap 1) gunahar or gunah say dili naraf ka izhaar karain or os say mulaqaat or baat kerna chordain.2) zabaan say nasihat karain, or haram kaam say rokain or os kaam ka azaab biyaan karain.mazeed ye k kisi ko baghair tasdeeq k badkaar kehna aik barha gunah hay..(ref: yat ullah Khoie,Tauzee hul masail, Pg#304,305). (Ap ko chahiaay k on ki jo baatain aap ko khilaaf e shariyat lagti hain on ki ulama say tasdeeq Karin k ye batain sahi hain ya ghalat)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.