Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salam.. Maira sawal ye hai kay shaadi k silsilay main istekhara nikalna zurur hai aur aik dafa mana honay kee surat main dobara nikala jaa sakta hai ya nahi??? Aur khud istekhara nikala jaa sakta hai ya nahi?? 
Answer Jee nahi, istikahra kerna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay.istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istikhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.