Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question slam mufi sahab me ne apse ye pochna tha hamare rishte daro me se aik ne kagzi notes bej he talaq ka or us pr 3 dafa tlaq likha he lakin ab wo kahta he k me rajo krna chahta hon or ye jo me ne kagaz beje hen talaq ke aik dafa bejne se nhi hoti 3 dafa bejne se hoti he ap batae kia wo rajo ker sAkte hen  
Answer Fiqh e jaafriya(Shia) main talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.