Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Question salam, meray abu agha khaminaae ki taqleed kartay hain or mummy agha seestani ki. ayatullah khoi ki wafat sae pehlae dono agha khoi ki kartay thay. Ab kuch saal pehlay agha khoi ki taqleed karnay walo nae iran k hisab sae pakistan sae ek din pehlae eid manai thi or us waqt meray mumy or abu nae bhi agha khoi ki taraf rujoo kar lia or eid-ul-fitar manai, lekin is saal meray abu or mumy agha khaminae or agha seestani ki taqleed kar k pakistan k hisaab sae rozay rakh rahay hain or agha khoi ki taqleed karnay walay ek din agay hain (iran k hisab sae rozay rakh rahay hain), ab meray waldaen ki kia zimedari banti hai kia wo agha khoi k hisaab sae eid or rozay rakhay ya apnay mojuda maraajayeen k hisaab sae? 
Answer Ayat ullah Khamnaie k mutabiq merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna jaaiz hay chahay wo mehoom zindah say ziyadah jaannay wala(aalam) nah ho ,laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k agar merhoom mujtahid ziadah say aalam ho tu oski taqleed per baaqi raha jaay.agar kisi maslay main zindah ki taraf ruju kerlain tu os ko wapas isi maslay main merhoom k fatway per amal kernay ki ijazat nahi hogi.is liay aap k abbu nay jo rozay Ayat ullah khoe(d.b) k fatway k mutabiq rakhay wo sahi thay,or ab is saal jo Ayat ullah Khamnaae(d.b) k mutabiq is saal rozay rakhay wo bhi sahi hain,laikin ab lazimi hay k wo sirif Ayat ullah Khamnaae(d.b) k mutabiq hi chaand k maslay per amal karain.kun k aik baar zindah mujtahid ki taraf ruju kernay k baad dobarah merhoom mujtahid k fatway per amal kerna jaiz nahi. . (Ayat ullah Khamnaie, Istaftaat Part 1 maslah #37, taleemul ehkaam Pg #16) Ayat Ullah Seestani (d.b), k mutabiq agar merhoom mujtahid, zindah mujtahid k muqaablay main aalam (ziyadah jaanay wala) ho tu merhoom mujtahid ki taqleed per baaqi rehna wajib hay.werna zindah aalam mujtahid k masail per amal kerna hoga.or agar kisi k bhi aalam honay ka yaqeen nah hosakay ya dono ilm main baraber hon tu iktiyaar hay k kisi bhi aik ki taqleed main ajaay. Isliay app ki walidah k wo rozay tu sahi hain jo onho nay Ayat ullah khoe(d.b) ki wafaat k baad k baad say on k fatway k mutabiq rakhay.,or ab is saal jo Ayat Ullah Seestani(d.b), k mutabiq rozay or eid manae wo sahi nahi hay or qaza rozay rakna wajib hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#8).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.