Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salam,namaz mein qirat ki agarchey koshish jari rahey magar phir bhi agar kaheen ghalti hojaye to hajj aur namaz k baarey mein kia hukum hai?? 
Answer Agar insaan nay koi lafz jis terah yaad kia ho osay sahi samajhta ho or namaz main isi terah perhay or baad main pta chalay(yani yaqeen hojaay) k os nay ghalat perha that tu os k liay namaz ka dobarah perhna zarori nahi hay.agar qirat main earraab(zabar, zair ,paish) sahi arbi main ada nah ker sakta ho or nah jaannay main mazoor ho(yani os k liay mumkin nah ho),tu oski namaz sahi hay.or agar nah jaannay main mazoor nah ho,tu os per sahi qirat seekhnay k baad namaz dobarah perhni hogi.or namaz e tawaf ko bhi agar makkah say nikal gay hon tu agar zehmat nah ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k makaam e ibraheem k peechay dobarah baja laain werna jahan bhi ho baja laain. .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#988 & Masnasik e haj maslah #332). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.