Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Sir maine ap se pahle do bar sawal liya Tha ap Ne koi jawab nahi diya,Mara sawal Tha k abortion karwane k kitni dear tak namaz nahi par sakti or mujhe abortion karwane ki mafi kase mile gi mujhe kya karna ho ga k mujhe is guna ki mafi mil jae plz answer zaroor dijiye ga shukriya. 
Answer 1)Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray. 2)ye zaroori nhi hai k bachay ki khilqat mukammal ho bal k agar is ki khilqat na mukammal ho laikin khoon ka lothra ya ghosht ka tukra honay ki halat sai ghuzar chuknay k baad abortion kia jae to jo khoon 10 din tk aye wo khoon nifas hai.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 73, 500). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.