Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khoie 
Question salamo alaukum mera sawal hai ki mai jis larki se sadi karna chahta hu use sadi hone me hum dono ki famliy ne 1year ka time rakha hai aur hum dono ko aisa lagraha hai ki hum dono se koe gunah n hojae ish liy mai Mutah karna chahta hu iske liye uske father raji hai to ap batae ki mutah kiase ho ga ish ke liy kiya karna hoga  
Answer Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2379). Update on dated 25-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.