Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aslamoalikum Meri bv k sath understanding na hony ki wajh sy ma ny usy divorce dy di ha Or wo b mujsy divorce chahti thi Ma ny divorc apni behen or abu k majudgi ma di ha Kya yeh talaq si hoi Is bat ko 6 mah ho gay Or hum alyda b ho gay Khuch roshni daliy 
Answer Talaq ki shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.