Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question agar kaqleed zrori hey to charoun mein say ksi aik imam ki kar li jay? Imam Abu Hanifa (Ramatullah Alhe) ki he taqleed kyoun zrori hey? Quran aur Hadith say wazih karian. 
Answer Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawb dia jata hai. 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.