Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Seestani 
Question Asalam o Alaikum..Maine songs k baray mai pehle sawaal kia tha jis k jawab mai ye likha tha (lohv o laeb ki mehfiloo) Mjhe ye samajh nahi ayaa k Lohv o laeb ki mehfilo se kia muraad hai?? PLease is baray mai detail mai btaye..main apka shukar guzar rahun ga. 
Answer Music ka lahw o la’ib ki mehfilo sai munasibat rakhne ka matlab ye nahi hay k music ya ghina(song) ka lehen nafs ko rahat or sukoon pohnchay or oski kaifiyat ko tabdeel karay. is liay k ye cheezain tu durust hain, balkeh iska matlab ye hay k music ki awaaz or ghina(song) k lehen ko sunnay wala, khusoosan agar wo shaks jo in cheezon ki khosoosiyat se bakhaber hoon, is baat ki tashkhees karain keh ye lehen lahw o la’ib main istemal hota hay ya is lehen se shabahat rakhta hay jo lahw o la’ib main istemal hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 546) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.