Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam mufti sahib.mera aap se yeh swal hai k agar husband ghusey mein aakar apni wife ko yeh keh day k tum meri taraf se farigh ho tumhara mera koi rishta nahi hai tum meri bivi nahi ho tum mar gayi ho mere liye to kia yeh sub kehne se mian bivi ka rishta toot jata hai mean k divorce hojati hai?halan k niyat na ho yeh sub kehne ki sirf ghusey mein aakar aisa kaha ho.wasslam  
Answer Nikah sahi hai q k Talaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifas say pak ho or is paki k doran mard nai jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijay yani likh kar talaq dena batil hai or talaq nahi kehlay gi. 3. Talaq ka segha sahi arabi main lafz e “طالق” k sath parha jae. 4.talaq do adil(jo zahiran gunahgar nah hon, or wajib kamo par amal kartay hon or haram kamo sai bachtay hon) gawaho ki maujoodgi main di jay. 5.zarori hai k mard talaq apny ikhteyar sai dai or agar osay apni biwi ko talaq dainay par majboor kia jay tu talaq batil hay. 6.Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2464 & pg # 460)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.