Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Dear Maulana We did nikkah in Dec, 2008. Due to unavoidable reasons, we had to separate and divorced in March 2009. (No rukhsati took place during the era) During that three months, we did intercourse. a. Now after divorce, what is the period of iddat b. if during iddat, both husband and wife start talking each other, will it count Roojo and nikkah reinstated (both husband and wife are in contact even that divorce) c. Is there any need of nikkah again, if both contact each other with in Idda period. d. If girls father forced her to do nikkah with another guy, who wud be responsible for sin of Nikkah on Nikkah. e. What is the Islamic responsibility of both girl and boy. Whether they should disclose it to their family I know your time is too much precious, but if you provide detail answer, I would really appreciate. This way, both family may get united and all allegation and miscommunication can get rid of. Thanks  
Answer A: Aisi aurat jis k 2 haiz ka dermiyaani faaslah 3 mahinay say kam ho tu,jab os ka shohar os ko paaki(yani jab wo periods main nah ho) ki halat main talaq day tu jaisay hi os aurat ko teesri mertabah(third times) haiz aay os ki iddat khatam hojati hay. B:shohar 2 tareeqo(methods) main say kisi bhi aik tariqay say aurat say ruju kersakta hay: i)aisi batain karay k pta chalay k os nay osay dobarah apni bivi bnaliya hay.Yaa phir ii)koe aisa kaam karay or is kaam say ruju ka iradah karay or hambistari /jima (intercourse) say ruju sabit hojaata hay chahay ruju ka iradah bhi nah ho.Ehtiyaate wajib hay k sirif bosa lainay(kissing) or lazzat k irday say haath laganay say ruju sabit nahi huta jab tak ye kaam ruju k iraday say nah hon. C: agar addat k doraan oopar(above) btay hoay tareeqay k mutabiq ruju kia ho tu nikah ki koe zururat hi nahi.or agar iddat k doraan ruju nahi kia tu phir nikah kerna hoga,or is nikah main lerki k baap ki ijazat ki zururat nahi,kun k ab wo kawari lerki(virgin) nahi hay,jaisa k aap nay btaya hay k aap os k saath hambistari kerchukay hain. D:jaisa k hum nay oopar bhi btaya hay k agar aap nay iddat main sahi tareqay say ruju ker liya tha,tu wo aap ki bivi hay or on ka nikah kisi or say nahi hosakta,dosri baat ye k agar aap nay sahi tareeqay say ruju nahi kia tha tu,ab larki ki apni merzi hay k wo aap say nikah karay ya kisi or say,laikin baap ko haq nahi pohanchta k wo is lerki ki merzi k baghair kisi say iska nikah kerday,Kun k nikah main lerki ki merzi laazmi hay werna nikah baatil hota hay. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b),maslah #2475 ,2488, 2342,2335,2491). Mazeed ye k talaaq ki kaafi shaarit(conditions) hain on ko bhi perhlain jo k tazee hul masail main chepter “talaq k ehkaam” main maujood hain masalah #2462 to 2472).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.