Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question ghus le janabat ka asal islam mein tariqa keya he (na ke molvies ke point of view se) jese kehtein hein ke moon mein / nak mein is had taq pani jaye to ghusal hoga verna nahi jism ka koi hisa khusk reh jaye to nahi ho ga is mein haqeeqat keya he --- aghar mein sada naha lon beghair nak / moon mein panid dale / jism ka koi hisa khusk rehjaye to ghusle janabat ho jaye ga  
Answer Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- ehtiyaat laazim hay k sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar or garden ka koe hissa khushk hay tu dobaarah say ghusl karain or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif os hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#359 to 364)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.