Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera question yeh hai k mera nikha huwa hai or hum ak dosary ko bohat passand bhi karty hai meri bewi ka baap yani mera susur us k sath mera jagra ho gaya hai or ab who keh raha hai k meh apni beti ki talaq chata hun likin meh nahi dena chata hun kia who log adlat meh se talaq ley sakty hai meri razamandi k bagir  
Answer Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai deta hai na k aurat ya susar talaq court se le, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. zarori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.