Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Asalam alaikum, mera sawal aap say yeh hai kay kya biwi shohar say jaaiz shartain manwa sakti hay jaisa kay maa kay ghar haftay main ek bar jana? uskay shohar say time, attention aur ghar main moral support mang sakti hay ??kya shohar say yeh umeed rakh sakti hay kay woh biwi kay ma baap ko apnay maa baap samjhay aur unki izaat karay jaisa kay woh karti hay?aur kya rishtay main compromise aur kurbani sirif biwi deti hay? 
Answer Nikha k waqt jaaiz hay k lerka or lerki wo shartain jo islam main jaiz hain taay karsaktay hain.or jo ye shart qabool ker raha ho(larka ya lerki) os k liay wajib hay k in shartoon ko poora karay.(maslam agar aurat ye shart lagaay k ghar k kaam kaaj k liay mulaazma dee jay tu shohar k liay wajib hoga k os ko mulaazma dee jaay,laikin agar wo aisa nah karay tu gunah gaar hoga laikin nikah per koe asar nahi perhay ga. Agar shart maqsad e nikah hi ki mukaahlfat main ho tu shart or nikah dauno hi baatil hain. Maslan agar aurat ye shart lagaay k oska shohar os say jima / hambistari or dosri lazaat hasil nahi karay ga. Yaad rahay k in tamaam shartoon per amal kerna os waqt wajib hay jab nikah k waqt ye shartain taay hoe hon,nah k nikah k baad. Jahaan tak is baat ka sawal hay k aurat ka apni maan k ghar jaana tu bivi ka apnay shohar ki ijazat k baghair ghar say bahar nikalna hi haraam hay ,siwaay is sorat k oska ghar main rehna os k liay nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zururat paish aajay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen, maslah #330-331, Tauzee hul masail, maslah#2376)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.