Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question assalamualikum mufti shab,mujhya yeah ap say khyna hay kay main USA main rahti hon aur mayra 2 baytay hain...mayra bara bayta 4 sal ka hay aur w3o school jata hay par yahn kay school main bachoon ko achi batin nahi batay maslan kay agar koi bachoon ko ghar main maray ya dantay tu wo apni protection kay leya police ko call karin aur apnay ma ya bap ko jail kara dain to mujhay aysa koi wazifa ya dua ya koi aysi tasbee bata dain kay main wo phar kar apnay bachay ko is buray mahool say bacha loon kuin kay main bohat darti hoon yahn kay mahool say aur mayra bayta jaldhi is malhool ko sikh raha hay..mayri madad karin aur ak aur sawal hay wo yeah kay mayra bayta kuch kuch larkon ki si harkatain karta hay ...hay wo 4 sal ka aur larkuion kay becch main raha hay tu is leya kabhi kabhi larki ki harkatin karta hay usay larkuion ki cheezain pasand ati hain colour bhi larki wala pasand hay plz mayri madad karryin koi wazifa bata dain kay mayra bayta larkoon wali harkatin karay shukreya 
Answer Os mulk (country) main rehna jis say khud k ya aulaad k deen ko nuqsaan pohanchnay ka khatra ho.tu os mulk main rehna haram hoga, or hijrat (migration) wajib hogi Aap ko chahiay k apnay baytay ko gunah say is terah rokain k os ko apni zillat mehsoos nah ho, or isi terah laazmi hay k itni sakhti say bhi paish nah aain k os ko deen or deeni program say hi nafrat paida hojaay.yani pair o muhabbat say naiki ka hokum dain or gunah say rokain.ye bhi laazmi hay k ibtada main kam sakhti say paish aain or agar natijah haasil nah ho tu os say sakht darjay per amal karain.apnay baytay ko jahan tak mumkin ho wajib or haram ka btati rahain. (Ayat Ullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008, Jadeed fiqhi masail, maslah #613). Wazifa:agar aulaad naafermaan ho or kehna nah maan rahi ho tu sorah Ahqaaf(sorah #46) ki ayat # 15 ko rozanah(daily) 3 mertabah perh ker os per poonkh dain,inshaallah aulaad fermaberdaar hojaay gi.(Makhzan e amliyaat,Pg#338,339).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.