Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question AOA, hazrat aaj kal k dor main mera kheyal hai k koe bhi maa bap apni aulad ko agar larki virgin hai khabi bhe mutha ke ijazat nahien dain ge or na hi larke ko Or na hi oulad shram ke wjha se ye bat apne waldain se kar saktey hain is masle ka koe hal batain mere khyal main istherh zada log gunha ke teraf nahien chale jain ge. 
Answer Mahol har jaga ka ek jesa Nahi hota Mukhtalif ilaqon men mukhtalif qism ka mahol paya jata hai lehaza ye zaruri nahi hai k mahol ki waja se share`at ka hukm badal jaey,lehaza ye walden se ijazat lene ka hukm bhi sirf us larki k liay hai jo kunwari bhi ho or uska wali (bap or dada) bhi mojud ho, albatta aisi larki jo kunwari na ho jesa koi bewah ho ya wo orat jo talaq yaafta ho or os k shohar ne osse hambistari bhi ki ho, isi tarah wo kunwari larki jiska wali mojood nah ho, inko nikah-e- daimi ya muta kerne k liye kisi se ijazart lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2342). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.