Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani(r.a) 
Question Aslam Alikum, Mera Sawal ye hai k mujhe 5 saal se ye pareshani hai k Peshab karne k bad kuch qatre aa jate jis ka confrim bhi ho k waqae qatre aate hai jis wajah se mujhe pareshani hoti hai namaz padne me toh aap btaye k is masle me namaz or dusre ahkam me kiya kiya jae or ye mere sath kafi saalo se ho raha hai poochna ye hai kiya aisi halat me nimaaz parhne ki ijazat hai ya nimaaz chorni chahiye, masjid, imambargah me ja sakte hai k nai. me boht pareshan hoo plz iska jawab mere mail pe de jazakallah  
Answer Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazrat peshab k bad is wajah say anjam daitay hain ta keh ye itminan ho jae k peshab ki naali may peshab baki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)Agar kisi nay istebra na kia ho aur peshab karnay k bad kafi waqt ghuzr janay ki wajah say osay itminan ho k peshab nail may baqi nahi reha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hay ya nahi to wo ratoobat pak hogi aur os say wazoo bhi batil nahi ho ga. 4)Agar wo ratubat k peshab ya mani honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-73 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.