Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salamun alehkum janab mera sawaal ye hai ke mai madene me rahta hu our maine ye suna hai ke haram me jo jagah RIYAZUL JANNA hai usme sirf farz namaaz he pad sakte hai & RIYAZUL JANNA me kaleen bhi padi hai to is par namaaz padney ka kya hukm hai  
Answer Jee nahi riyazul janaanh main wajib or mustahab her qisam ki namaz perhi jaasakti hay bal k bohat ziyadah mustahab hay.is k alawah masjid e nabavi k or jagah bhi namaz perhna mustahab hay.laikin qaleen per sijdah kerna sahi nahi hay,balkeh wajib hay k sijdah zameen per kerna sahi hay or her os cheez per kerna sahi hay jo zameen say ugti hon,laikin insaan nah tu osko khaatay hon ,nah pehentay hon or naahi wo maadniyaat(minerals) main say ho.maslan mitti(sand),lekri(wood),darkht k pattay (leaf),sang e marmar(marble),patthar(stones),aqeeq(stone for finger ring), ghaas (grass),cement floor,kaagaz(paper) etc. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 854-880,1063-1070) .  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.