Answer |
Is surat mai dekhna paray ga k talaq kon si di hai talaq e bayan di hai ya talaq e rijei di hai. agar talaq e bayan di hai to mard apni aurat ki taraf roju karnay ka haq nahi rakhta yani ye k bagair nikah dubara osay apni biwi nahi bna sakta. Aur agar talaq e rijei di hai to aurat jab tak iddat mai hoti hai sohar is sai bagair nikah k roju kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2486)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |