Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Mere sawal ye ha k namaz k faraz.m or.sunat m kia kia parhna hota her rakat k hisab s batyn detail m batyn .. Jazak Allah 
Answer Namaz k wajibat 11 hain: 1)niyat 2)takbeeratul Ehraam yani namaz ki ibteda me Allaho akbar kehna 3)Qiyam 4)Qaraa,at 5)zikr 6)ruku 7)sujood 8) tashahud 9)salam 10)tarteeb 11)mawalat yani namaz k af,aal pay dar pay baja lana(one by one). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # Before 929) Namaz ki tarkeeb: Namaz k tamaam af,aal aur azkaar ko zail me tarteeb waar bataya gaya hay. jis zikr k agay (+) ka nishaan laga hay wo sunat(mustahab) hay yani agar in ko na perha jay tu bhi namaz sahi hay. 2 rakati namaz ka tariqa : Pehli rak,at : jis namaz k perhne ka irada kiya ho is k liay qibla rukh ho kar itmenaan se kharhay ho kar takbeeratul ehraam yani Allaho akbar khain. khiyaal rahe k niyat k tour per koe alfaaz zabaan se ada karna ya dil se guzaarna zarori nahi hain. sirf zehan mutawajjah rahe k khuda ka hukum bajalane ki garz se yani qurbatan ilal-lah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. Albattah agar zabaan se yu kahain tu bhi koe haraj nahi. “Namaz perhta/perhti hoon subah ki 2 rak,at qurbatan ilal laah.” Takbeeratul Ehram k bad surah e fatiha aur dosera aik surah(maslan in,naa anzalna,ho) perhain. surah mukammmal ker k takbeer kahain(+) aur phir ruku me jain. Ruku me zikr e ruku ada karain. Is k bad kharhay ho kar sami,allaho li,man hamidah(+) aur takbeer (+) ada ker k sajde me jain aur sajde ka zikr ada karain. pehle sajde k bad beth ker takbeer(+) phir istighfaar parhain(+) aur takbeer ada kerain aur phir dosra sajdah baja laain. Is k baad baithain aur takbeer(+) khain aur phir agli rak,at k liay kharhay hoon. kharhay hote hoay zikr “bihaulil laahi wa qoowatihee aqoomo wa aqod”(+) perhain. Tash,reh(Explanation about ruku & sajdah): (i)Ruku me zarori hay k is qadar jhokay k apni tamaam ongliyo ko angothay k siray k saath guthne per rakh sakain. (ii)sajde ki halat me wajib hai k 7 aaza(part of body) zameen par rakhain. 1) peshani 2,3) donoo hatailiyaan 4,5) donoo guthnay aur 6,7) donoo poun(legs) k anghotay. Dosri rak,at: Dosri rak,at me surah e fatiha aur dosra aik sorah (maslan surah e ikhlaas) perhain. Dosri rak,at me ruku me jaane se pehlay qonoot perhna mustahab hay.Qonoot me haatho ko monh k samne asman ki taraf rakh ker dua perhi jati hay.Qonoot k bad pehli rak,at ki manind ruku aur dono sajde baja laain .Dosre sajde se sar otha kar baithne aur takbeer(+) perhne k baad tashahud perhain.Or aakhir main “salam” perh ker namaz mukammal karain.or aakhri salam k baad 3 baar takbeer perhna mustahab hay. 3 Rakati namaz(maghrib) ka tariqa : Oper di hoe terkeeb k mutabiq 2 rakat tamaam ker k tashahud perhain or phir teesri rak,at k liay kharhay ho ker aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday bja lain or phir baith ker tashahud or salam perh ker namaz mukammal karain. 4 Rakati namaz(zuhar,asr or isha) ka tariqa : Pehli 3 raka,at oper di hoe terkeeb k mutabiq baja lain. Teesri rak,at k 2 sajdo k baad chothi rak,at k liay kharhay hoon.chothi rak,at main halat qiyaam main aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday ada karain or phir baith ker tashahud or salaam perh ker namaz mukammal karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Ehkaam e Islam,part#1,Nashir Najafi Haal o Najafi Cassette Library, pg #78-80). 2) Tamam wajib or mustahab namazo me dusri rak,at me ruku se pehle qunoot mustahab he.(Ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1104). Namaz ki ibratain(Wording of namaz): (i)Takbeer: اللہ اکبر (Allaaho Akber) (ii) Ruku ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی العظیم و بحمدہ (Subhaana rabi,yal azeemi wa bihamdihi) (iii) Dorood: اللھم صل علی محمد وآل محمد (Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (iv) Ruku se kharhay hone k baad ka zikr: سمع اللہ لمن حمدہ (Sami,allaaho liman hamidah) (v) Sijday ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی الاعلی و بحمدہ (Subhaana rabi,yal aa,laa wa bihamdihi) (vi) Istaghfaar: استغفر اللہ ربی و اتوب الیہ (Astaghfirul laaha rabbee wa atoobo ilaihi) (Vii)بحول اللہ و قوتہ اقوم و اقعد (Bihaw lillaahi wa qoowatihee aqoomo wa aq,od) (viii) Qunoot: رب زدنی علما (Rabbi zidnee ilmaa) (ix) Tashahud: اللھم صل علی محمد وآل محمد اشہد ان لا الہ الا اللہ وحدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمدا عبدہ و رسولہ (Ashhado allaa ilaaha illal laaho wahdahoo laa shareeka lahoo wa ash,hadu anna muhammadan abduhoo wa rasooloh Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (x) Tasbeehaat e arba,ah: سبحان اللہ والحمد للہ ولا الہ الا اللہ و اللہ اکبر (Subhaanal Laahi wal hamdo lillaahi wa laa ilaaha illal laaho wallaho akber) (xi) Salaam: السلام علیک ایھا النبی و رحمۃ اللہ و برکاتہ، السلام علینا و علی عباد اللہ الصلحین، السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ (Assalaamo alaika ay,uhan nabeeyo wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo, assalaamo alainaa wa alaa ibaadil laa his saliheen, assalaamo alaikum wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Mutafariq masail: 1-Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or dosri rakat main pehlay sorah al-hamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat karay.sorah e zuha(sorah#93) or sorah e alam nashrah(sorah#94) ki sortain or isi terah sorah e feel(sorah#105) or sorah e quraish(sorah#106) ehtiyaat ki bina par namaz main aik sorat shumaar hoti hay yani agae surah zuha parhain to os k sath surah alam nashrah bhi parhni paray gi aur agar surah feel parhain to surah quraish parhni paray gi. 2- Namaz main quran majeed se sorah daikh ker perhna makhrooh hay .or agar aap ko sorah yaad nahi hay tu on ko daikh ker perh lain. 3-Mustahab ye hay k tamam namazo ki pehli rakat main “sorah e qadr” or dosri rakat main “sorah e ikhlas” perhay. 4-jo sorah insan pehli rakat main perhay osi ka dosri rakat main pehna makrooh hay. Laikin agar sorah e ikhlas dono rakato main perhay tu makrooh nahi hay . 5-namaz ki teesri aur chothi rakat mai faqat aik martaba tasbehat-e.arbaa parhi ja sakti hai. 6-tamam wajib aur mustahab namazo ki dusri rakat mai,magrib ki tesri rakat mai bhi aur zohar aur asar ki chothi(4th) rakat mai zarori hai k dusray sajday k baad insan beth jae aur badan ko sukun ki halat mai le aey aur tashahud parhay. 7-namaz k akhri rakat mai tashahud k baad zarori hai k insaan salam bhi parhay aur namaz tamam kary.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1092)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.