Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name mujahid 
Question mein aik bht gunai gar shaks hn mein hafiz quran hn aur mein muth marta hn muth mar tai waqt acha feel krta hn laikin bd mein bht dar lagta hai mein allah sai mafi mang kr muth dobara mar laita hn mein is gunah sai bach na chahta hn kia krn is burai kam sai bach nai kai liye aur merai sai koi khush nai sb naraz hain mein apnai ap sai bht tang mein khushi wali zindagi basar krna chahta hn to is kai liye mein kia krn 
Answer 1)Mush zani karna (kise tariqe se mani kharij) karna haram hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg # 253 masla # 462) 2)Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.