Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question AOA,mujhey please bataiye k shia womens bhi shia males ki tarah hi namaz ada karti hain. yani kiya females bhi apney hands ko open rakhti hain ya phr chest pe fold karti hain. ya male or female ka namaz parhney ka tariqa according to shia Fiqh same hai. waiting for your answer anxiously  
Answer Mustahab hay k namaz main qiyaam k waqt hatoon (Hands)ko raano(thigh) per rakha jaay.is main aurat or merd ka koe farq nahi, dono k liay yehi mustahab hay .haan agar aurat is mustahab per amal nah karay or apnay haton ko seenay(chest) per rakhay to bhi koe maslah nahi ,magar ye khiyaal rahay k dono haatho ko mila ker nah rahay kun k haath baandhnay say namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil hojaati hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#964 &1116) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.