Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khoie 
Question Salam, Kya Khums ke liye koi date fix karna wajib hai, agar koi date fix nahi ki aur andaze se ek saal ki bachi hoi rakam aur savings par khums nikal lete hai to kya yeh theek hai? agar koi shaks apna ghar sale karta hai aur us me koi profit hota hai aur woh profit 1 saal ke andar hi use ho gai to kya us par khums ho ga jabke ghar 5 saal ke baad sale kiya tha? Can u provide a little detail abt Rade Mazalim? Iltimas-e-dua,  
Answer Khumus k liay date fix kerna wajib nahi hay.or her os raqam or maal jis per saal guzar gaya ho, khumus daina wajib hay. jitnay maal ya raqam per khumus wajib honay ka yaqeen ho,otni raqam ka khumus daina wajib hoga, sirif andazay say kaam nahi chalay ga. Ghar k sale kernay k baad jo raqam haasil ho tu agar ghar aisi raqam say khareedah tha jis ka khumus diya jaachuka tha ya miraas ki raqam say khareedah tha, tu sirif profit ka saal k baad baqi bacnay wali raqam ka khumus daina wajib hoga. (Ayat ullah khoe(d.b),minjaa jus saliheen,maslah #1218).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.