Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question khums kia hai? aur kia syed khums ada karta hai? aur kia syed kisi dosrey syed ko khums ki amount de skta hai?  
Answer 1) Khumus ki tareef:Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain.or jo shaks kamata nah ho,or os ka kharcha koe dosra bardaasht kerta ho tu,agar itifaaq say is ko koe samaan,ya raqam haasil ho tu ,jab osay ye samaan milay ho aik saal guzar jaay,or is main say jo baaqi bacha ho tu is ka khumus day.isi terah ye shaks her raqam ya maal k liay aik alag saal muqarrar ker sakta hay. 2) khumus syed or ghair syed dono per wajib hay. 3) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dainJis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imamo ko imam manta ho. 2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Namaz or rozah rakhnay wala ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1735,1804-1819).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.