Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Agar Peshab ke qatre ate hon to kya har namaz se pehle kapre pak karna zaroori hay ya nahin. Agar hai to is ka tareeqa kya hai. Aur kya har namaz se pehle penis aur tangon ko dhona zaroori hai ya nahin. 
Answer agar paishaab kernay k kaafi waqt guzarnay ki wajah say itminaan ho k paishaab naali(penis) main baaqi nahi raha or is doraan jism say koe rutubat kharij ho or os k baaray main shak ho k ye paishab hay k koe or rutubat tu wo paak kehlaay gi.agar aap ko yaqeen ho k ye paishab hay tu aap ko jism or badan ko paak kerna wajib hoga.aap paishaab k baad istibra karain.istibra aik mustahab amal hay jo merd hazraat is liay kertay hain k itminaan ho jaay k paishaab ab naali main baaqi nahi raha.or istibra k baad jo bhi mashkook rutubat niklay wo paak kehlaay gi or wuzu bhi baaqi rahay ga.mazeed ye k paishaab k baad kabhi kabhi aik rutubat bhi kharij hoti hay jis ko wadee kaha jaata hay jo k paak hay or is k nikalnay say wuzu bhi baaqi rehta hay .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#69,70,72). Agar paishaab k qatray aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.