Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question asslam o alaikum mera sawal yeh hai please key quran ka matlaib to pata hai aap please itrat aur mujtahid-e-taqleed ka matlaib bata de please 
Answer Itrat:Itrat ka lugvi(dictionary k mutbiq) aam matlab aulaad ya ghar walay hotay hain.or iska istilahee(term/technical meaning) matlab islam ki nazar main, sirif hamaray nabee(s.a.w.w) ki piyari baiti Hazrat fatimah zahrah(s.a) or 12 imam(a.s) hain. Mujtahid: jo shaks is qadar ilm rakhta ho k hukm e khuda(order of God) ko Quran ,Ahadees, ijmaa or aqal say haasil kersakta ho, aisay aalim shaks ko mujtahid kehtay hain.is shaks per taqleed kerna haram hay or isko apnay hi fatway per amal kerna hoga. Mujtahid –e-taqleed: wo mujtahid jis main chand shraait(conditions) maujood hon tu awaam ko os mujtahid ki taqleed(following) ker k os k fatway(opinion) k mutbiq apnay tamaam aamaal anjaam daina zarori hain. Mujtahid –e-taqleed ki shrait: 1.merd(man). 2. baligh(mature). 3. aaqil(not mental). 4.12 imami shia. 5.halaal zaadah. 6.zindah 7.aadil. or agar ye baat maloom ho k mujtahideen k kisi fatway main ikhtifaaf hay tu is maslay main aalam(tamaam mujtahideen main sab say ziyadah ilm wala) k fatway per amal kerna hi wajib hoga.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.