Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Ghusl kab wajib hota hae? 
Answer Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62). 1. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2. Haiz wo khoon he jo umoman har mahinay chand dino k lie auratoon k raham se kharij hota he aur aurat ko jab haiz ka khoon aye to osay haa’iz kehtay hein. Aur haiz se pak honay k bad ghusl e haiz kia jata he. 3. Jab Bachay ka pehla juz maa k pait se bahar anay k waqt se 10 din tak jo khoon aay wo nifaas ka khoon kehlata he. Aur is me bhi ghusl karna hota he. 4. Aurat ko jo khoon aata he agar wo 10 din se barh jay to os ko istehaza ka khoon kehtay hein. Is me bhi ghusl e istehaza karna hota he. 5. Agar koe shakhs kisi aisay murda insan k badan ko mas karay jo thanda ho chukka ho aur jisay ghusl na dia gya ho to chunay walay per ghusl e mas e miyyat karna wajib he. 6. Miyyat ko tarteeb se teen ghusl dena wajib he: 1 :Aisay pani se ghusl dena jis me bairi k pattay milay huay hoon. 2 :Aisay pani se ghusl dena jis me kafoor mila hua ho. 3 :Khalis pani se. 7. Agar koe shakhs mannat manay ya qasam khay ya ehed karay k apnay upper ghusl ko wajib kar le to phir os per ghusl karna wajib ho jay ga magar is me shara,it hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344-558) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.