Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Istibra ka jo tareeqa tauzeeh me diya hua hai, kia zarori hai k wohi tareeqa istemaal kiya jaye? Ya phir kisi tareeqay sey khud ko yaqeen a jaye k peshaab nalli me baqi nahi rahi hai tou jafi hoga?? 
Answer Istebra aik mustahab amal he jo mard hazraat peshab karnay k bad is liay anjam datay hein takeh itminan ho jay k ab peshab nali me baqi nahi raha he. Is k bohat se tareeqay hein.jis me se aik tauzeeh ul masa,il me likha he.layhaza agar aap ko kisi bhi tariqay se itminaan hojaay k ab paishab nali main baqi nahi raha hay chahay bohot ziada waqt guzarne k zarye hi itminaan ho jay tub hi kafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.