Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question A.O.A mera swal ye hai k hum zuhrain or maghrebain k lye ek ek azan q dety hen jo k hum tanqeed ki wja ban gya ha or jama slawtain ka Quran se koi refernce hai to wo b btaieye... dua go... mohsin ALI HAQ . . . 
Answer 1) Aam suratoon me jab k namazi mushtarak waqt rakhnay wali do namazoo ko pay dar pay(aik k baad aik) ada karay, agar is ne pehli namaz k lie azan kahi ho to to bad wali namaz k lie azan saqit he.in soratoon main azaan saqit honay ki shart ye hay k do namazo(yani zohor or asr ya maghrib or isha) k dermiyaan ziyada faasla nah ho laikin nafil namaz or taqibaat perhnay se koe faraq nahi perhta(yani ye kaam faasla shumaar nahi hotay) or ehtiyaat e wajib ye hay k in soratoon main azaan mashroo,eyat ki niyat se (shariyat ka hokum samjh ker) nah kahi jay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 909). 2)Quran ki sorah e bini isra,eel(sorah#17) ki ayat#78 main jama salatain ka zirk khuch is terah kia gaya hay k “Aap zawaal e aaftab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezaam kia gaya hay”. (Ref: Allama zeshan Hiader jawadi k tarjuma e quran ka pg#613) 1st Note: wazeh rahay k Quran e kareem ne namaz k 3 hi awqaat biyaan kiay hain. 2 namazo ko zawaal e aaftab se wabasta kia hay or 2 ko tareeki e shab se or 1 ko fajar se layhaza 3 awqaat per ayteraaz kerna naa waqifiyat ki wazeh daleel hay. (Ref: Allama zeshan Hiader jawadi k tarjuma e quran ka hashiyah ka bayaan, pg#613) 2nd Note: yaad rahay k kisi ko razi kernay ki khatir hokum e khuada ko tabdeel nahi kia jaskta.her cheez ko Islam per qurban kia jasakta hay laikin islam ko kisi cheez per qurban nahi kia jasakta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.