Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Mara sawal yah hai. Mari wife ne Rokh sati se palhai hi Qula maag liya tha, kuch family problems ki waja se, abb wo mujh se phir contact kerna chahti hai aur mai bhi yahi Chahta hun. humari Qula ko Abbhi 3 months hone mai 9 Din baki hain. Please mujhy batain k abb kiya ho sakta hai? 
Answer Talaq e khula, talaq e Baain k aqsam men se hai, or talaq e baain wo talaq hai jis k bad mard apni biwi ki taraf ruju krne ka haq nahi rakhta , matlb bager nikah kiye dobarah use apni biwi nahi bna sakta , lehaza khula dene k bad shoahar apni apni biwi ki taraf ruju nahi kr sakta, albbat agr biwi talaqe khula ki iddat k doran shoahar se us ewaz (badle) ka mutaliba kre (ewaz men ruju kre) jo usne shohar ko dekr us se khuli li thi to ye talaq rijee (ruju wali) hojayegi or us k bad shohar iddat k darmiyan hi biwi se ruju kr sakta hai. lekin agr ewaz men ruju na kre to phir iddat ka wqt guzarne k bad wo dono dubara nikah kr sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2486). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.