Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salam. me phle bhi do baar ye sawal kar chuki hn lekn apne reply nahi kia k ahtiat e wajib aur ahtiat e lazim same hn ya nahi? agar same nahi tu ahtiat lazim ki definition kia he ?aur mirror k samne namaz parhna makroh he k mubah?plz reply. 
Answer 1) Agar mujtahid kisi kaam k wajib or lazim honay ka istefaada ayat aur riwayaat se is tarah karay k is ka khuda ki taraf munsoob karna mumkin ho to os ki tabeer lafz “wajib” se ki jati hay aur agar wajib or lazim honay ko kisi aur zariay se maslan aqli daleel se samjha ho is terha k is ka khuda ki taraf mansoob karna mumkin na ho to is ki tabeer lafz lazim se ki jati he. Ethiat e wajib aur eyhiat e lazim me isi farq ko peshay nazar rakhna chahae, laikin muqallid k lie maqam e amal me “wajib” aur “lazim” k darmian koi farq nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istehilat pg # 477 , 478) 2)aaynay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref :e-mail Rcvd Ayatullah Sistani(d.b),dated: 19/03/10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.