Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question meri shadi ko 12 saal ho gae hai mujhe mere shohar ne 2 months pehle nashe ki halat me jo ke woh aady hain teen dafa talaq de dy thee aur mai apne waldain ke ghar aa gaee thee ab mai janna chati hoon ke aaya talaq lago ho gaee ya dobara taloq ki gunjaish hai aur talaq ho gaee toh iddaa ka kya tareeqa hai 
Answer ye talaq batil hay Q keh: Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.